There is joke by Khushwant Singh realted to family problems. Read this article for the actual joke. What I have done is to translate this joke in Hindi and present it with a bit of 'Mirch and Masala'. I had written this few years back when I was in College, thought to share it with all of you. Please try to read and understand the lines as if you are reading a Hindi passage written in English. Please read the actual joke before reading my version for better understanding. Hope you will enjoy it.
Civil Lines (place in Allahabad) ko gaye ghoomne,
Mahila sundar padi dikhayi,
Dil mein kuch kuch hookh uthi,
Aage maine baat badhayi.
Baatein ki aur gappe haanki,
Dil ki baat ko bata diya,
Ek jawan kanya ki amma se,
kuch divas baad vivah kiya.
Hum dono ki patri baith gayi,
Par ladki ne chali anokhi chaal,
Mere hi baap ko phaas liya,
Aur daal diya unko jaimal.
Tha sandesh mann ka karte rahiye,
Jamana kuch na karega aapka,
Ab meri hi sun lijiye,
Ban baitha tha sasur apne baap ka.
Mera baap bana mera daamad,
Rishte mei hui maara maari,
Meri sauteli beti hi thi,
Maa meri sauteli pyaari.
Baapu they kuch tej adhik,
Amma ke pau hue bhaari,
Naya mahmaan tha aane waala,
Nayi musibat ki taiyaari.
Beebi ki beti ka beta tha,
Maatha nochun peetun chati,
Main sautele bhai ka nana,
Sautela bhai mera naati.
Ab biwi ne janam diya balak ko,
Hui bawal ki aur munadi,
Meri biwi ban baithi thi,
Khud apne sasur ki daadi.
Rishte ki dor ulajhti jaati,
koi lagta kisi ka koi,
baba ji bhi ban baithe hain,
apne pote ke baihnoi.
Rishte mein bilkul ulajh gaya hoon,
Nahi sulajhta hai ye loop,
Ab to bilkul hadd ho gayi,
Apne Nana swaim Pratyush.
Civil Lines (place in Allahabad) ko gaye ghoomne,
Mahila sundar padi dikhayi,
Dil mein kuch kuch hookh uthi,
Aage maine baat badhayi.
Baatein ki aur gappe haanki,
Dil ki baat ko bata diya,
Ek jawan kanya ki amma se,
kuch divas baad vivah kiya.
Hum dono ki patri baith gayi,
Par ladki ne chali anokhi chaal,
Mere hi baap ko phaas liya,
Aur daal diya unko jaimal.
Tha sandesh mann ka karte rahiye,
Jamana kuch na karega aapka,
Ab meri hi sun lijiye,
Ban baitha tha sasur apne baap ka.
Mera baap bana mera daamad,
Rishte mei hui maara maari,
Meri sauteli beti hi thi,
Maa meri sauteli pyaari.
Baapu they kuch tej adhik,
Amma ke pau hue bhaari,
Naya mahmaan tha aane waala,
Nayi musibat ki taiyaari.
Beebi ki beti ka beta tha,
Maatha nochun peetun chati,
Main sautele bhai ka nana,
Sautela bhai mera naati.
Ab biwi ne janam diya balak ko,
Hui bawal ki aur munadi,
Meri biwi ban baithi thi,
Khud apne sasur ki daadi.
Rishte ki dor ulajhti jaati,
koi lagta kisi ka koi,
baba ji bhi ban baithe hain,
apne pote ke baihnoi.
Rishte mein bilkul ulajh gaya hoon,
Nahi sulajhta hai ye loop,
Ab to bilkul hadd ho gayi,
Apne Nana swaim Pratyush.
No comments:
Post a Comment